
'हसरत' जो सुन रहे हैं वो अहल-ए-वफ़ा का हालइस में भी कुछ फ़रेब तिरी दास्ताँ के हैं
'hasrat' jo sun rahe hain wo ahl-e-wafa ka haalIs mein bhi kuchh fareb teri dastan ke hain

बचपन की गलियों में कहीं मासूम हँसी रह गईअब बस उसकी परछाईं मिलती है, खुद वो कहीं खो गई
Bachpan ki galiyon mein kahin masoom hansi reh gayiAb bas uski parchhaain milti hai, khud vo kahin kho gayi

इन आबलों से पाँव के घबरा गया था मैंजी ख़ुश हुआ है राह को पुर-ख़ार देख कर
In aablon se panw ke ghabra gaya tha mainJi khush hua hai rah ko pur-khar dekh kar

फिर के निगाह चार-सू ठहरी उसी के रू-ब-रूउस ने तो मेरी चश्म को क़िबला-नुमा बना दिया
Phir ke nigah chaar-su thahri usi ke ru-ba-ruUs ne to meri chashm ko qibla-numa bana diya

ख़ंजर चले किसी पे तड़पते हैं हम 'अमीर'सारे जहाँ का दर्द हमारे जिगर में है
Khanjar chale kisi pe tadapte hain hum 'amir'Sare jahan ka dard hamare jigar mein hai

दोपहर की धूप में भी ठंड लगती है मुझकोमैं जी रही हूँ फिर भी, ये बात समझाओ मुझको
Dopahar ki dhoop mein bhi thand lagti hai mujhkoMain jee rahi hoon phir bhi, ye baat samjhao mujhko

निकले जो राह-ए-दैर से इक ही निगाह-ए-मस्त मेंगब्र का सब्र खो दिया बुत को भी बुत बना दिया
Nikle jo rah-e-dair se ek hi nigah-e-mast meinGabr ka sabr kho diya but ko bhi but bana diya

शब-ए-वस्ल की क्या कहूँ दास्ताँज़बाँ थक गई गुफ़्तुगू रह गई
Shab-e-wasl ki kya kahun dastanZaban thak gai guftugu rah gai

यूँ न किसी तरह कटी जब मिरी ज़िंदगी की रातछेड़ के दास्तान-ए-ग़म दिल ने मुझे सुला दिया
Yun na kisi tarah kati jab meri zindagi ki raatChhed ke dastan-e-gham dil ne mujhe sula diya

अपनी पहचान मैं ख़ुद बनाती हूँ, किसी के नाम से नहींअपना आसमान ख़ुद चुनती हूँ, किसी के साये में नहीं
Apni pehchaan main khud banaati hoon, kisi ke naam se nahiApna aasmaan khud choonti hoon, kisi ke saaye mein nahi