
आई होगी किसी को हिज्र में मौतमुझ को तो नींद भी नहीं आती
Aai hogi kisi ko hijr mein mautMujh ko to nind bhi nahin aati

फ़िराक़-ए-यार ने बेचैन मुझ को रात भर रक्खाकभी तकिया इधर रक्खा कभी तकिया उधर रक्खा
Firaq-e-yar ne bechain mujh ko raat bhar rakkhaKabhi takiya idhar rakkha kabhi takiya udhar rakkha

शिकवा-ए-हिज्र पे सर काट के फ़रमाते हैंफिर करोगे कभी इस मुँह से शिकायत मेरी
Shikwa-e-hijr pe sar kat ke farmate hainPhir karoge kabhi is munh se shikayat meri

तुम्हारे हिज्र में आँखें हमारी मुद्दत सेनहीं ये जानतीं दुनिया में ख़्वाब है क्या चीज़
Tumhaare hijr mein aankhen hamari muddat seNahin ye jaantin duniya mein khwab hai kya chiz

तूल-ए-शब-ए-फ़िराक़ का क़िस्सा न पूछिएमहशर तलक कहूँ मैं अगर मुख़्तसर कहूँ
Tul-e-shab-e-firaq ka qissa na puchhiyeMahshar talak kahun main agar mukhtasar kahun

वस्ल हो या फ़िराक़ हो 'अकबर'जागना रात भर मुसीबत है
Wasl ho ya firaq ho 'akbar'Jagna raat bhar musibat hai