
दिल भी ऐ 'दर्द' क़तरा-ए-ख़ूँ थाआँसुओं में कहीं गिरा होगा
Dil bhi ai 'dard' qatra-e-khun thaAansuon mein kahin gira hoga

एक आँसू ने डुबोया मुझ को उन की बज़्म मेंबूँद भर पानी से सारी आबरू पानी हुई
Ek aansu ne duboya mujh ko un ki bazm meinBund bhar pani se sari aabru pani hui

जो बात हिज्र की आती तो अपने दामन सेवो आँसू पोंछता जाता था और मैं रोता था
Jo baat hijr ki aati to apne daman seWo aansu ponchhta jata tha aur main rota tha

समझता हूँ सबब काफ़िर तिरे आँसू निकलने काधुआँ लगता है आँखों में किसी के दिल के जलने का
Samajhta hun sabab kafir tere aansu nikalne kaDhuan lagta hai aankhon mein kisi ke dil ke jalne ka