shayari.appfor all

Written by @aisha-writes

क्यों हर बार मुझे ही समझौता करना सिखाया जाता हैख़ुद से पूछा है कभी तुमने, तुम्हें क्या सिखाया जाता है

Kyun har baar mujhe hi samjhauta karna sikhaya jaata haiKhud se poochha hai kabhi tumne, tumhe kya sikhaya jaata hai

सावन के बादल जब गरजते हैं तो दिल में पुरानी यादें आती हैंबचपन में छत पे बैठे हम भीगते थे, वो दिन कहाँ अब वापस आते हैं

Saawan ke baadal jab garajte hain to dil mein purani yaadein aati hainBachpan mein chhat pe baithe hum bheegte the, woh din kahan ab wapas aate hain

घर की चारदीवारी मेरा मुक़द्दर नहीं, मेरा हौसला हैमैं जहाँ चाहूँ उड़ सकती हूँ, ये मेरा फ़ैसला है

Ghar ki chaardeewari mera muqaddar nahi, mera hausla haiMain jahan chaahoon udh sakti hoon, yeh mera faisla hai

मैंने सीख ली है अपने पैरों पे खड़ा होनाकिसी के सहारे की मोहताज अब मैं नहीं रही

Main ne seekh li hai apne pairon pe khada honaKisi ke sahaare ki mohtaaj ab main nahi rahi

अपनी पहचान मैं ख़ुद बनाती हूँ, किसी के नाम से नहींअपना आसमान ख़ुद चुनती हूँ, किसी के साये में नहीं

Apni pehchaan main khud banaati hoon, kisi ke naam se nahiApna aasmaan khud choonti hoon, kisi ke saaye mein nahi