
जब यार ने उठा कर ज़ुल्फ़ों के बाल बाँधेतब मैं ने अपने दिल में लाखों ख़याल बाँधे
Jab yar ne utha kar zulfon ke baal bandheTab main ne apne dil mein lakhon khayal bandhe

मेरे जुनूँ को ज़ुल्फ़ के साए से दूर रखरस्ते में छाँव पा के मुसाफ़िर ठहर न जाए
Mere junun ko zulf ke sae se dur rakhRaste mein chhanw pa ke musafir thahar na jae

उलझा है पाँव यार का ज़ुल्फ़-ए-दराज़ मेंलो आप अपने दाम में सय्याद आ गया
Uljha hai panw yar ka zulf-e-daraaz meinLo aap apne dam mein sayyaad aa gaya

ज़ाहिद ने मिरा हासिल-ए-ईमाँ नहीं देखारुख़ पर तिरी ज़ुल्फ़ों को परेशाँ नहीं देखा
Zahid ne mera hasil-e-iman nahin dekhaRukh par teri zulfon ko pareshan nahin dekha