
ऐ 'ज़ौक़' तकल्लुफ़ में है तकलीफ़ सरासरआराम में है वो जो तकल्लुफ़ नहीं करता
Ai 'zauq' takalluf mein hai taklif sarasarAaram mein hai wo jo takalluf nahin karta

बारे दुनिया में रहो ग़म-ज़दा या शाद रहोऐसा कुछ कर के चलो याँ कि बहुत याद रहो
Bare duniya mein raho gham-zada ya shad rahoAisa kuchh kar ke chalo yan ki bahut yaad raho

फ़राग़त से दुनिया में हर दम न बैठोअगर चाहते हो फ़राग़त ज़ियादा
Faraghat se duniya mein har dam na baithoAgar chahte ho faraghat ziyaada

इतना न अपने जामे से बाहर निकल के चलदुनिया है चल-चलाव का रस्ता सँभल के चल
Itna na apne jame se bahar nikal ke chalDuniya hai chal-chalaw ka rasta sambhal ke chal

ख़ुदा ने नेक सूरत दी तो सीखो नेक बातें भीबुरे होते हो अच्छे हो के ये क्या बद-ज़बानी है
Khuda ne nek surat di to sikho nek baaten bhiBure hote ho achchhe ho ke ye kya bad-zabani hai

तमन्ना दर्द-ए-दिल की हो तो कर ख़िदमत फ़क़ीरों कीनहीं मिलता ये गौहर बादशाहों के ख़ज़ीनों में
Tamanna dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron kiNahin milta ye gauhar baadshahon ke khazinon mein

वतन की फ़िक्र कर नादाँ मुसीबत आने वाली हैतिरी बर्बादियों के मशवरे हैं आसमानों में
Watan ki fikr kar nadan musibat aane wali haiTeri barbaadiyon ke mashware hain aasmanon mein