
ले गई साक़ी की नख़वत क़ुल्ज़ुम-आशामी मिरीमौज-ए-मय की आज रग मीना की गर्दन में नहीं
Le gai saqi ki nakhwat qulzum-ashami meriMauj-e-mai ki aaj rag mina ki gardan mein nahin

हम-साया-ए-मुग़ाँ में मुद्दत से हूँ चुनाँचेइक शीरा-ख़ाने की है दीवार मेरे घर में
Ham-saya-e-mughan mein muddat se hun chunancheEk shira-khane ki hai diwar mere ghar mein

रिंद मुफ़्लिस जिगर में आह नहींजान महज़ूँ है और क्या है याँ
Rind muflis jigar mein aah nahinJaan mahzun hai aur kya hai yan

क्या ग़म-ए-दुनिया का डर मुझ रिंद कोऔर इक बोतल चढ़ा ली जाएगी
Kya gham-e-duniya ka dar mujh rind koAur ek botal chadha li jaegi

मय तो हलाल है जो पिए ढब से बादा-नोशमैं तौबा कर के और पशेमान हो गया
Mai to halal hai jo piye dhab se baada-noshMain tauba kar ke aur pasheman ho gaya

रिंदान-ए-बे-रिया की है सोहबत किसे नसीबज़ाहिद भी हम में बैठ के इंसान हो गया
Rindan-e-be-riya ki hai sohbat kise nasibZahid bhi hum mein baith ke insan ho gaya

'आलम है बे-ख़ुदी का मय की दुकान पर हैंसाक़ी पे हैं निगाहें होश आसमान पर हैं
'alam hai be-khudi ka mai ki dukan par hainSaqi pe hain nigahen hosh aasman par hain

आलम से बे-ख़बर भी हूँ आलम में भी हूँ मैंसाक़ी ने इस मक़ाम को आसाँ बना दिया
Aalam se be-khabar bhi hun aalam mein bhi hun mainSaqi ne is maqam ko aasan bana diya

आम हुक्म-ए-शराब करता हूँमोहतसिब को कबाब करता हूँ
Aam hukm-e-sharab karta hunMohtasib ko kabab karta hun

लग़्ज़िश-ए-मस्ताना ओ जोश-ए-तमाशा है 'असद'आतिश-ए-मय से बहार-ए-गरमी-ए-बाज़ार-ए-दोस्त
Laghzish-e-mastana o josh-e-tamasha hai 'asad'Aatish-e-mai se bahaar-e-garmi-e-bazar-e-dost