
आदमिय्यत और शय है इल्म है कुछ और शयकितना तोते को पढ़ाया पर वो हैवाँ ही रहा
Aadamiyyat aur shai hai ilm hai kuchh aur shaiKitna tote ko padhaya par wo haiwan hi raha

अक़्ल को तन्क़ीद से फ़ुर्सत नहींइश्क़ पर आमाल की बुनियाद रख
Aql ko tanqid se fursat nahinIshq par aamal ki buniyaad rakh

अक़्ल में जो घिर गया ला-इंतिहा क्यूँकर हुआजो समा में आ गया फिर वो ख़ुदा क्यूँकर हुआ
Aql mein jo ghir gaya la-intiha kyunkar huaJo sama mein aa gaya phir wo khuda kyunkar hua

इल्म में भी सुरूर है लेकिनये वो जन्नत है जिस में हूर नहीं
Ilm mein bhi surur hai lekinYe wo jannat hai jis mein hur nahin

मज़हबी बहस मैं ने की ही नहींफ़ालतू अक़्ल मुझ में थी ही नहीं
Mazhabi bahs main ne ki hi nahinFaltu aql mujh mein thi hi nahin

यही जाना कि कुछ न जाना हाएसो भी इक उम्र में हुआ मालूम
Yahi jaana ki kuchh na jaana haeSo bhi ek umr mein hua malum