
होता है राज़-ए-इश्क़-ओ-मोहब्बत इन्हीं से फ़ाशआँखें ज़बाँ नहीं हैं मगर बे-ज़बाँ नहीं
Hota hai raaz-e-ishq-o-mohabbat inhin se fashAankhen zaban nahin hain magar be-zaban nahin

जान से हो गए बदन ख़ालीजिस तरफ़ तू ने आँख भर देखा
Jaan se ho gae badan khaliJis taraf tu ne aankh bhar dekha

कैफ़िय्यत-ए-चश्म उस की मुझे याद है 'सौदा'साग़र को मिरे हाथ से लीजो कि चला मैं
Kaifiyyat-e-chashm us ki mujhe yaad hai 'sauda'Saghar ko mere hath se lijo ki chala main

'मीर' उन नीम-बाज़ आँखों मेंसारी मस्ती शराब की सी है
'mir' un nim-baz aankhon meinSari masti sharab ki si hai

यूँ चुराईं उस ने आँखें सादगी तो देखिएबज़्म में गोया मिरी जानिब इशारा कर दिया
Yun churain us ne aankhen sadgi to dekhiyeBazm mein goya meri jaanib ishaara kar diya