
आप को आता रहा मेरे सताने का ख़यालसुल्ह से अच्छी रही मुझ को लड़ाई आप की
Aap ko aata raha mere satane ka khayalSulh se achchhi rahi mujh ko ladai aap ki

आईने में वो देख रहे थे बहार-ए-हुस्नआया मिरा ख़याल तो शर्मा के रह गए
Aaine mein wo dekh rahe the bahaar-e-husnAaya mera khayal to sharma ke rah gae

आँख उस की जो फ़ित्ना-बार उठीहर नज़र अल-अमाँ पुकार उठी
Aankh us ki jo fitna-bar uthiHar nazar al-aman pukar uthi

आप ने क़द्र कुछ न की दिल कीउड़ गई मुफ़्त में हँसी दिल की
Aap ne qadr kuchh na ki dil kiUd gai muft mein hansi dil ki

ख़ू है अज़-बस कि आशिक़ी दिल कीग़म से वाबस्ता है ख़ुशी दिल की
Khu hai az-bas ki aashiqi dil kiGham se wabasta hai khushi dil ki

याद हर हाल में रहे वो मुझेअल-ग़रज़ बात रह गई दिल की
Yaad har haal mein rahe wo mujheAl-gharaz baat rah gai dil ki

मिल चुकी हम को उन से दाद-ए-वफ़ाजो नहीं जानते लगी दिल की
Mil chuki hum ko un se dad-e-wafaJo nahin jaante lagi dil ki

चैन से महव-ए-ख़्वाब-ए-नाज़ में वोबेकली हम ने देख ली दिल की
Chain se mahw-e-khwab-e-naz mein woBekali hum ne dekh li dil ki

हमा-तन सर्फ़-होश्यारी-ए-इश्क़कुछ अजब शय है बे-ख़ुदी दिल की
Hama-tan sarf-e-hoshyari-e-ishqKuchh ajab shai hai be-khudi dil ki

उन से कुछ तो मिला वो ग़म ही सहीआबरू कुछ तो रह गई दिल की
Un se kuchh to mila wo gham hi sahiAabru kuchh to rah gai dil ki
